Azaadi

Seene mei jo thi dafan
Gayenge aaj khulke hum
Azaadi

Darr se aur na chupenge hum
Gayenge aaj khulke hum
Azaadi

Rahe khud ki chunenge hum
Gayenge aaj khulke hum
Azaadi

Taaron ke jaise jhilmilayenge
Kirno ke jaise muskurayenge
Pehchani si dhun gungunayenge
Gayenge aaj khulke hum
Azaadi

Seene mei jo thi dafan
Gayenge aaj khulke hum
Azaadi
NADI

Parbat ki godh se pighalkar
Beete kal ki zanjeere todh kar
Chalte jao re
Nadi ho tum
Behte jao re

Wadio mein lehrate hue tum chalo
Geet koi gungunate hue tum chalo
Koi pabandi na toke tumhe
Koi seemaye na roke tumhe

Behte hue umeedo ko lekar saath mei
Sukhe koi registaan mein baras jao re
Nadi ho tum
Chalte jao re
Bas behte jao re

Beete kal ki zanjeere todh kar
Aane wala pal ki fiqr chor kar
Chal pado azaadi ki chadar odh kar
Nadi ho tum
Chalte jao re
Bas behte jao re

Dhoop ki kirno mein bheegte jao re
Ek naya savera aazmao re

Koi choti dhara nahi
Dahad ho tum
Nadi ho tum
Har ek pabandi todh ke
Chalte jao re
Bas behte jao re.
U GRO CAPITAL
Published:

Owner

U GRO CAPITAL

Published:

Creative Fields